Ektarfa Lyrics by King is latest Hindi song with music also given by Aakash. Ektarfa song lyrics are written by King.
Ektarfa Song Detail
Song Name: | Ektarfa |
Singer: | King |
Composer: | Aakash |
Lyrics by: | King |
Label: | King |
Ektarfa Lyrics
Tu phirse paas aa main zidd nahi karunga
Tu phirse door jaa main kuch nahi kahunga
Joh tere jaane se me betha hun mehkhane me
Mein kha chuka hun dhoka peene se nahi marunga
Joh tujhse seekha hu, tujh hi pe toh likhunga
Joh tujhko chahunga,tujh hi pe toh mitunga
Joh haske aunga main phir se tere saamne
Hu napasand bata diyo main phir nahi dikhunga
Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi
Maine dekha tune koshishe bahoot kari
Kehe joh tujhko apne hathon se saaja dun
Hain kaami tu pehne bahoot
Phir bhi lagta kyu saaji nahi
Aaj bhi aise dekhe maine daayre nahi
Ke tujhse baant lun me khudko
Kehdun aa rahe nahi, hain tujhse milne
Bewafa hi the joh haske keh diya
Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi
Joh phirse dekha meri ruk chali kalam thi
Dil dhadakta, aankhein bheegi, baatein tang thi
Joh tujhko socha mera poora ek janam thi
Jab tujhko dekha kisi aur ki sanam thi
Dil toh dukhta hain par jeena padhta hi hain
Sooraj se chaand bhi akele ladta hi hain
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hain
Joh kardein fasla toh pyar badhta hi hain
Gaane toh chaal rahe par baat teri meri hain
Chirag bujh gaye par raat teri meri hain
Hua woh ek na joh saath janam ka vaada tha
Toh is saadi main jaana kya aukat teri meri hain?
Maana main sab hi kuch jeeta kuch bhi haara na
Par jisko hara usko dekha phir dubara na
Joh dhas gaya hun jake raet me main ankhon tak
Tu hain samundar mujhpe boond ka sahara naa
Naa mujhse puch mere hal kya sitaaro ka
Naa dum tu kha yeh aake noto ki diwaron ka
Hain paisa kya tu chhoti baatein naa kiya kar
Main bas pyar se gareeb mujhko mol naa hazaro ka
Joh mujhse puchh le tu rasta baharon ka
To haske kehdu tu nazara meri ankhon ka
Main jisko kosne chala hunn uska nam yaad
Phir bhi likh naa paana dosh kaam hain gawaron ka
Joh tujhko dekha aasma me chand tha nahi
Kahin pe chhup gaya ke kehta lagta nahi
Isse haseen maine dekha kahi kuch ke
Log yun hi likhte rehte mujhpe aye khuda me chand nahi
Yeh tere reshmi joh baal jaal saazi hain
Maara nahi par jeete ji tu meri faansi hain
Daba nahi gala kyun saansein meri ghut rahi
Main kya hi dun saza jaa teri har saza hi maafi hain
Mujhe khabar nahi tu kis zuban me razi hain
Dikhe asar nahi tu kis duaa me baaki hain
Agar kabhi main tere saamne se guzru
Mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hain
Ektarfa main nam bhi bana lunga
Ektarfa mein nam bhi chhupa lunga
Ek arsa joh beete teri yadon mein
Main hoke mashhoor tujhpe zindagi loota dunga